Jaleel Manikpuri

kahan hum aur kahan ab sharab-KHana-e-ishq

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
kahāñ ham aur kahāñ ab sharāb-ḳhāna-e-ishq
na vo dimāġh na vo dil na vo zamāna-e-ishq
huā hai shahr-e-ḳhamoshāñ meñ jab guzar merā
sunā kiyā huuñ lab-e-gor se fasāna-e-ishq
ḳhayāl-e-ruḳh pe hai mauqūf dil kī ābādī
kabhī na gul ho ilāhī charāġh-e-ḳhāna-e-ishq
bhare hue haiñ hasīnān-e-sīm-tan dil meñ
ḳhudā kare kabhī ḳhālī na ho ḳhazāna-e-ishq
ga.ī dimāġh meñ jis ke kiyā asiir use
ajab kamand hai bū-e-sharāb-ḳhāna-e-ishq
kahīñ hai daaġh kā mazmūñ kahīñ hai soz kā zikr
suno na tum ki bahut garm hai fasāna-e-ishq
ġhalat hai sāhab-e-daulat ko gar ġhanī kahiye
ġhanī vo hai jise allāh de ḳhazāna-e-ishq
jo bahr-e-ġham meñ girā haath dho ke jiine se
usī ke haath bhī aayā dur-e-yagāna-e-ishq
tamām umr isī sahrā kī ḳhaak chhānī hai
jo tum suno to sunā.ūñ koī fasāna-e-ishq
bane haiñ jab se vo yūsuf har ek gāhak hai
khulā huā hai yahāñ bhī dar-e-ḳhazāna-e-ishq
kisī pe dil kā thā aanā ki be-ḳhudī chhā.ī
samand-e-hosh ko aafat hai tāziyāna-e-ishq
jab un ke dil meñ ye aatī hai kuchh suneñ naale
to mujh se kahte haiñ chheḌo koī tarāna-e-ishq
chamak ke daaġh ye kahtā hai dil kī aahoñ se
havā se bujh nahīñ saktā charāġh-e-ḳhāna-e-ishq
ye jāniye ki lagī haath daulat-e-kaunain
mile jo ḳhirman-e-hastī se ek dāna-e-ishq
yahāñ 'ayāz' hai aaqā ġhulām hai 'mahmūd'
'jalīl' kyā maiñ kahūñ tum se kārḳhāna-e-ishq
Top Urdushayar.com