zālim butoñ se aañkh lagā.ī na jā.egī
patthar kī choT dil se uThā.ī na jā.egī
hone do ho rahe haiñ jo ulfat ke tazkire
bigḌoge tum to baat banā.ī na jā.egī
kah do ye sham.a se ki abas tū hai ashk-bār
paanī se dil kī aag bujhā.ī na jā.egī
chilman ho yā naqāb ho yā parda-e-hayā
sūrat tirī kisī se chhupā.ī na jā.egī
mumkin hai tīr-e-nāz se dil ko bachā bhī luuñ
lekin nazar kī choT bachā.ī na jā.egī
āñkheñ ḳhudā ne dī haiñ to dekheñge husn-e-yār
kab tak naqāb ruḳh se uThā.ī na jā.egī
tauba ko muñh lagā ke ḳhajil hoge tum 'jalīl'
jaam o subū se aañkh milā.ī na jā.egī