Jaleel Manikpuri

ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
adā adā tirī mauj-e-sharāb ho ke rahī
nigāh-e-mast se duniyā ḳharāb ho ke rahī
ġhazab thā un kā talavvun ki chaar hī din meñ
nigāh-e-lutf nigāh-e-itāb ho ke rahī
tirī galī kī havā dil ko raas kyā aatī
huā ye haal ki miTTī ḳharāb ho ke rahī
vo āh-e-dil jise sun sun ke aap hañste the
ḳhadañg-e-nāz kā āḳhir javāb ho ke rahī
paḌī thī kisht-e-tamannā jo ḳhushk muddat se
rahīn-e-minnat-e-chashm-e-pur-āb ho ke rahī
hamārī kashtī-e-tauba kā ye huā anjām
bahār aate hī ġharq-e-sharāb ho ke rahī
kisī meñ taab kahāñ thī ki dekhtā un ko
uThī naqāb to hairat naqāb ho ke rahī
vo bazm-e-aish jo rahtī thī garm rātoñ ko
fasāna ho ke rahī ek ḳhvāb ho ke rahī
'jalīl' fasl-e-bahārī kī dekhiye tāsīr
girī jo buuñd ghaTā se sharāb ho ke rahī
Top Urdushayar.com