Jaleel Manikpuri

ismat ka hai lihaz na parwa haya ki hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
ismat kā hai lihāz na parvā hayā kī hai
ye sin ġhazab kā hai ye javānī balā kī hai
sach pūchhiye to nāla-e-bulbul hai be-ḳhatā
phūloñ meñ saarī aag lagā.ī sabā kī hai
dil hai ajiib gul chaman-e-rozgār meñ
rañgat to phuul kī hai magar bū vafā kī hai
ḳhalvat meñ kyuuñ ye saath haiñ sab ko alag karo
shoḳhī kā hai na kaam na hājat hayā kī hai
vo haath un ke chūmtī hai maiñ huuñ pā.emāl
ye haiñ mire nasīb vo qismat hinā kī hai
anjām kyā ho dāġh-e-mohabbat kā dekhiye
siine meñ ibtidā se jalan intihā kī hai
mausam yahī to pīne-pilāne kā hai jalīl
mai-ḳhvār baaġh baaġh haiñ aamad ghaTā kī hai
Top Urdushayar.com