kisī taur ho na pinhāñ tirā rañg-e-rū-siyāhī
vo sab āñkheñ bujh chukī haiñ ki jo deñ mirī gavāhī
ho nasīb har kisī ko kahāñ manzil-e-mohabbat
ki ujaḌtī jaa.eñ rāheñ ki bikharte jaa.eñ raahī
tire nuur par fidā huuñ magar is qadar fidā huuñ
mujhe dekh hī na paa.e ye jahāñ kī kam-nigāhī
maiñ jo aah bhar rahā huuñ tujhe yaad kar rahā huuñ
ki tire baġhair maiñ ne kabhī zindagī na chāhī
koī yaad ham-nafas ho jo mire liye qafas ho
ki azal se jis tarah hai ye jahān-e-āb-o-māhī
yahī zindagī gulistāñ yahī zindagī hai zindāñ
isī zindagī se maiñ ne yūñhī dostī nibāhī
sar-e-shām luT chukā huuñ sar-e-ām luT chukā huuñ
ki Dakait ban chuke haiñ ka.ī shahr ke sipāhī