pahlū meñ baiTh kar vo paate kyā
dil to thā hī nahīñ churāte kyā
hijr meñ ġham bhī ek ne.amat hai
ye na hotā to aaj khāte kyā
murġh-e-dil hī kā kuchh rahā mazkūra
aur be-par kī vaañ uḌāte kyā
raah kī chheḌ-chhāḌ ḳhuub nahīñ
vo bigaḌtā to ham banāte kyā
sadma hāsil huā alam laa.e
aur kūche se us ke laate kyā
shaiḳh-jī kahte haiñ ġhinā ko harām
un se pūchho to haiñ ye gaate kyā
lāġhar hī se kafan meñ thā bhī maiñ
merī mayyat ko vo uThāte kyā
ḳhaak us kūche kī na lā rakhte
to 'saḳhī' qabr meñ bichhāte kyā