phir lauT ke dhartī pe bhī aane nahīñ detā
vo paañv ḳhalā meñ bhī jamāne nahīñ detā
manzūr nahīñ lamhoñ kī pahchān bhī us ko
aur naam daraḳhtoñ se miTāne nahīñ detā
ḳhush rahtā hai ujḌe hue logoñ se hamesha
basne nahīñ detā vo basāne nahīñ detā
maujoñ ke mujhe raaz bhī samjhātā nahīñ vo
sāhil pe safīna bhī lagāne nahīñ detā
de detā hai har baar vahī naav purānī
ḳhvāboñ ko samundar meñ bahāne nahīñ detā
ta.amīr na.ī chāhtā hai dekhnā har-sū
aur naqsh-e-kuhan koī miTāne nahīñ detā
masrūf burā vaqt mujhe rakhtā hai 'betāb'
yaad achchhe dinoñ kī kabhī aane nahīñ detā