kis qadar thā garm naala bulbul-e-nāshād kā
aag phūloñ meñ lagī ghar jal gayā sayyād kā
sahl samjhā thā satānā bulbul-e-nāshād kā
chaar nāloñ meñ kalejā hil gayā sayyād kā
zer-e-ḳhanjar maiñ taḌaptā huuñ faqat is vāste
ḳhuun merā uḌ ke dāman-gīr ho jallād kā
dar-pa.e-āzār pahle āsmāñ itnā na thā
pā gayā hai kuchh ishāra us sitam-ījād kā
ab to vo bhī loT hai bulbul tirī āvāz par
bārak-allāh ḳhuub phāñsā tū ne dil sayyād kā
us ke sadqe jā.iye jis ne tujhe paidā kiyā
shakl dī hūr-o-parī kī dil diyā jallād kā
vasl meñ kaisā adab ai jaan gustāḳhī muaaf
aaj lenā hai mujhe tum se evaz bedād kā
aap bhī ḳhanjar-ba-kaf haiñ maiñ bhī huuñ sīna-sipar
rah na jaa.e aaj koī hausla bedād kā
mujh ko hai aisā chaman darkār jis meñ ai 'jalīl'
ḳhauf gulchīñ kā na ho khaTkā na ho sayyād kā