chale haa.e dam bhar ko mehmān ho kar
mujhe maar Daalā mirī jaan ho kar
ye sūrat huī hai ki ā.īna pahroñ
mire muñh ko taktā hai hairān ho kar
javāñ hote hī le uḌā husn tum ko
parī ho ga.e tum to insān ho kar
bigaḌne meñ zulf-e-rasā kī ban aa.ī
liye ruḳh ke bose pareshān ho kar
karam meñ maza hai sitam meñ adā hai
maiñ raazī huuñ jo tujh ko āsān ho kar
judā sar huā par hue ham na halke
rahī teġh gardan par ehsān ho kar
na āḳhir bachā parda-e-rāz-e-dushman
huā chaak merā garebān ho kar
havās aate jaate rahe roz-e-vāda
tirī yaad ho kar mirī jaan ho kar
butoñ ko jagah dil meñ dete ho tauba
'jalīl' aisī bāteñ musalmān ho kar