Jaleel Manikpuri

lakh dil-mast ho masti ka ayan raaz na ho

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
laakh dil-mast ho mastī kā ayaañ raaz na ho
ye vo shīsha hai ki TuuTe bhī to āvāz na ho
ḳhauf hai mausam-e-gul meñ ki sabā kā jhoñkā
tā.ir-e-hosh ke haq meñ par-e-parvāz na ho
dil bahut bulbul-e-shaidā kā hai nāzuk gulchīñ
phuul gulzār ke yuuñ toḌ ki āvāz na ho
kyā qayāmat hai vo dil toḌ rahe haiñ merā
is gumāñ par ki chhupā is meñ koī raaz na ho
ā.īna haath meñ hai husn kā nazzāra hai
un se kah do mirī hālat nazar-andāz na ho
ho ke vo mast-e-mai-e-nāz gale lipTe haiñ
hosh kambaḳht kahīñ tafraqa-pardāz na ho
us giraftār kī pūchho na taḌap jis ke liye
dar qafas kā ho khulā tāqat-e-parvāz na ho
ahl-e-dil ko jo luTātī hai sadā naġhme kī
parda-e-sāz meñ pinhāñ tirī āvāz na ho
thaam lene do kaleja mujhe hāthoñ se 'jalīl'
qissa-e-dard-e-jigar kā abhī āġhāz na ho
Top Urdushayar.com