qafas meñ ashk-e-hasrat par madār-e-zindagānī hai
yahī daane kā daanā hai yahī paanī kā paanī hai
mile the aaj barsoñ meñ magar allāh kī qudarat
vahī sūrat vahī rañgat vahī josh-e-javānī hai
hameñ vo jaan bhī leñge hameñ pahchān bhī leñge
utar jā.egā sab nashsha abhī chaḌhtī javānī hai
kaleje se lagā rakhkhūñ na kyuuñ dard-e-judā.ī ko
yahī to ik dil-e-marhūm kī baaqī nishānī hai
ye sach hai yā ġhalat ham ne sunā hai marne vāloñ se
tire ḳhanjar meñ qātil chashma-e-haivāñ kā paanī hai
batā.e jaate haiñ ausāf vo apnī adāoñ ke
ye shān-e-dil-raubā.ī hai ye tarz-e-jāñ-satānī hai
yahāñ kyā jāniye kis tarah dekhā hai tasavvur meñ
vahāñ ab tak vahī parde ke andar lan-tarānī hai
kareñ tasḳhīr aao mil ke ham tum donoñ aalam ko
idhar jādū-nigāhī hai udhar jādū-bayānī hai
'jalīl' ik sher bhī ḳhālī na paayā dard o hasrat se
ġhazal-ḳhvānī nahīñ ye dar-haqīqat nauha-ḳhvānī hai