Jaleel Manikpuri

marne wale KHub chhuTe gardish-e-ayyam se

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
marne vaale ḳhuub chhūTe gardish-e-ayyām se
so rahe haiñ paañv phailā.e hue ārām se
aur to matlab nahīñ kuchh ham ko daur-e-jām se
haañ evaz letā hai saaqī gardish-e-ayyām se
garche tark-e-āshnā.ī ko zamāna ho gayā
lekin ab tak chauñk uThte haiñ vo mere naam se
ishtiyāq-e-mai-kashī kuchh mai-kashī se kam nahīñ
ham to saaqī mast ho jaate haiñ ḳhālī jaam se
mai-kade kā raaz parde hī meñ rahnā ḳhuub thā
dekh saaqī shīsha kuchh kahtā hai thak kar jaam se
zulf-e-sumbul nik.hat-e-gul mauj-e-sabza mauj-e-āb
baaġh meñ koī jagah ḳhālī na dekhī daam se
ham faqīr-e-mai-kada saaqī hameñ kyā chāhiye
hai vahī kaafī chhalak jaatī hai jitnī jaam se
be-nishāñ tujh ko samajh kar sabr aa jaatā mujhe
par ye mushkil hai ki maiñ vāqif huuñ tere naam se
kyā ḳhudā kī shaan hai jin kā vazīfa thā 'jalīl'
aaj vo kahte haiñ maiñ vāqif nahīñ is naam se
Top Urdushayar.com