haa.e dam bhar bhī dil Thahar na sakā
haath siine pe koī dhar na sakā
ā.īna kis se dekhā jaatā hai
rashk ke maare vo sañvar na sakā
rah gayā aañkh meñ nazākat se
dil meñ naqsha tirā utar na sakā
vus.at-e-zarf se rahā mahrūm
jaam merā kisī se bhar na sakā
is jahāñ se guzar ga.e lākhoñ
is galī se koī guzar na sakā
mai-kashī se najāt mushkil hai
mai kā Duubā kabhī ubhar na sakā
ashk jaarī the yād-e-gesū meñ
raat bhar qāfila Thahar na sakā
mausam-e-gul meñ bhī 'jalīl' afsos
dāman apnā guloñ se bhar na sakā