ham to qusūr-vār hue aañkh Daal ke
pūchho ki nikle kyuuñ the vo jauban nikāl ke
āñkhoñ se ḳhvāb kā ho guzar kyā majāl hai
pahre biThā diye haiñ kisī ke ḳhayāl ke
dil meñ vo bhiiḌ hai ki zarā bhī nahīñ jagah
aap aa.iye magar koī armāñ nikāl ke
sad-shukr vasf-e-qad pe vo itnā to phuul uThe
mazmūñ buland haiñ mire aalī ḳhayāl ke
lazzat yahī khaTak kī jo hai rāh-e-ishq meñ
rakh lūñgā dil meñ paañv ke kāñTe nikāl ke
dil rah gayā ulajh ke nigāhoñ ke taar meñ
achchhā vo jaan Daal ga.e aañkh Daal ke
suniye to ik zarā mire ash.ār-e-dardnāk
laayā huuñ maiñ kaleje ke TukḌe nikāl ke
ā.īna hai jo un kā musāhib to kyā huā
ham bhī kabhī the dekhne vaale jamāl ke
likkhī hai khā ke ḳhūn-e-jigar ye ġhazal 'jalīl'
misre nahīñ haiñ sher ke TukḌe haiñ laal ke