zamāna hai ki guzrā jā rahā hai
ye dariyā hai ki bahtā jā rahā hai
vo uTThe dard uTThā hashr uTThā
magar dil hai ki baiThā jā rahā hai
lagī thī un ke qadmoñ se qayāmat
maiñ samjhā saath saayā jā rahā hai
zamāne par hañse koī ki ro.e
jo honā hai vo hotā jā rahā hai
mire dāġh-e-jigar ko phuul kah kar
mujhe kāñToñ meñ khīñchā jā rahā hai
bahār aa.ī ki din holī ke aa.e
guloñ meñ rañg khelā jā rahā hai
ravāñ hai umr aur insān ġhāfil
musāfir hai ki sotā jā rahā hai
sar-e-mayyat hai ye ibrat kā nauha
mohabbat kā janāza jā rahā hai
'jalīl' ab dil ko apnā dil na samjho
koī kar ke ishārā jā rahā hai