Jaleel Manikpuri

maujud the abhi abhi ru-posh ho gae

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
maujūd the abhī abhī rū-posh ho ga.e
ai mast-e-nāz tum to mire hosh ho ga.e
sote meñ vo jo mujh se ham-āġhosh ho ga.e
jitne gile the ḳhvāb-e-farāmosh ho ga.e
va.ade kī raat aa.ī qazā is adā ke saath
dhoke meñ tere us se ham-āġhosh ho ga.e
barsoñ hue na tum ne kiyā bhuul kar bhī yaad
va.ade kī tarah ham bhī farāmosh ho ga.e
āñkhoñ meñ bhī jo aa.e to allāh-re hijāb
ban kar nazar nazar se vo rū-posh ho ga.e
kyā kyā zabāñ-darāz charāġh anjuman meñ the
dāman-kashāñ tum aa.e to ḳhāmosh ho ga.e
yārān-e-rafta baat kā dete nahīñ javāb
kyā kah diyā fazā ne ki ḳhāmosh ho ga.e
aa.ī shab-e-visāl to niiñd aa ga.ī unheñ
ham hosh meñ jo aa.e vo mad.hosh ho ga.e
mar kar tamām sar se Talīñ āfateñ 'jalīl'
ham jaan de ke sab se subuk-dosh ho ga.e
Top Urdushayar.com