Jaleel Manikpuri

achchhi kahi dil maine lagaya hai kahin aur

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
achchhī kahī dil maiñ ne lagāyā hai kahīñ aur
ye jab ho ki tum sā ho zamāne meñ kahīñ aur
gardūñ pe mah o mehr gul o sham.a zamīñ par
ik jalva-e-jānāñ hai kahīñ aur kahīñ aur
maiñ aks huuñ ā.īna-e-imkāñ meñ tumhārā
tum sā jo nahīñ aur to mujh sā bhī nahīñ aur
ahbāb jo karte haiñ karam haal pe mere
kahtā hai junūñ aa.iye chal baiTheñ kahīñ aur
jaate haiñ miTāte hue vo naqsh-e-qadam ko
kah de koī un se ki hai ik ḳhāk-nashīñ aur
aañkh us ne milā.ī taḌap uTThā dil-e-muztar
taakā thā kahīñ aur paḌā tiir kahīñ aur
ham bhūle hue raah haiñ ai kāba-nashīno
jaate the kahīñ aur nikal aa.e kahīñ aur
detī hai maza nāsiya-sā.ī tire dar par
ik sajda jo kartā huuñ to kahtī hai jabīñ aur
kuchh roz 'jalīl' apnī rahī gar yahī hālat
DhūñDeñge falak aur nikāleñge zamīñ aur
Top Urdushayar.com