haa.e dam bhar bhī dil Thahar na sakā
haath siine pe koī dhar na sakā
ā.īna kis se dekhā jaatā hai
rashk ke maare vo sañvar na sakā
rah gayā aañkh meñ nazākat se
dil meñ naqsha tirā utar na sakā
is jahāñ se guzar ga.e lākhoñ
us galī se koī guzar na sakā
mai-kashī se najāt mushkil hai
mai kā Duubā kabhī ubhar na sakā
merā naama ḳhat-e-muqaddar thā
ki nazar se tirī guzar na sakā
jo tire ishq meñ tabāh huā
koī us ko tabāh kar na sakā
aag aisī lagī thī siine meñ
aañkh se dil meñ vo utar na sakā
mausam-e-gul meñ bhī 'jalīl' afsos
dāman apnā guloñ se bhar na sakā