dil hai apnā na ab jigar apnā
kar ga.ī kaam vo nazar apnā
ab to donoñ kī ek hālat hai
dil sambhālūñ ki maiñ jigar apnā
maiñ huuñ go be-ḳhabar zamāne se
dil hai pahlū meñ bā-ḳhabar apnā
dil meñ aa.e the sair karne ko
rah paḌe vo samajh ke ghar apnā
thā baḌā ma.arka mohabbat kā
sar kiyā maiñ ne de ke sar apnā
ashk-bārī nahīñ ye dar-parda
haal kahtī hai chashm-e-tar apnā
kyā asar thā nigāh-e-sāqī meñ
nashsha utrā na umr bhar apnā
chāra-gar de mujhe davā aisī
dard ho jaa.e chāra-gar apnā
vaz.a-dārī kī shaan hai ye 'jalīl'
rañg badlā na umr bhar apnā