sitam hai mubtalā-e-ishq ho jaanā javāñ ho kar
hamāre bāġh-e-hastī meñ bahār aa.ī ḳhizāñ ho kar
javānī kī duā.eñ māñgī jaatī thiiñ laḌakpan meñ
laḌakpan ke maze ab yaad aate haiñ javāñ ho kar
ḳhudā rakkhe dil-e-māyūs meñ ummīd baaqī hai
yahī gul hai jo bū detā hai pāmāl-e-ḳhizāñ ho kar
mujhe shabnam banā rakkhā hai in ḳhurshīd-rūoñ ne
rulāte haiñ nihāñ ho kar miTāte haiñ ayaañ ho kar
hamīñ vo the ki hotī thī basar phūloñ ke ġhunche meñ
hamīñ ab ai falak tinke chuneñ be-āshiyāñ ho kar
dar-e-jānāñ ke aage kab tahayyur baḌhne detā hai
jo aatā hai vo rah jaatā hai sañg-e-āstāñ ho kar
nihāl-e-sham.a meñ kyā ḳhushnumā ik phuul aayā thā
sitam Dhāyā nasīm-e-sub.h ne bād-e-ḳhizāñ ho kar
taqāzā sin kā bhī allāh kyā shai hai ki yūsuf se
zuleḳhā naaz kartī hai na.e sar se javāñ ho kar
'jalīl' āḳhir jo kī hai shā.erī kuchh kaam bhī nikle
kisī but ko musaḳhḳhar kījiye mojiz-bayāñ ho kar