Jaleel Manikpuri

naya sauda naya dard-e-nihani le ke aaya hun

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
nayā saudā nayā dard-e-nihānī le ke aayā huuñ
na.ī us bazm se maiñ zindagānī le ke aayā huuñ
kuchh apnī nā-tavānī kuchh tirā pās-e-nazākat thā
nigāhoñ meñ mohabbat kī kahānī le ke aayā huuñ
tire jalve ke nazzāre ko ḳhālī haath kyā aatā
luTāne ko bahār-e-naujavānī le ke aayā huuñ
laboñ par mohr-e-ḳhāmoshī hai āñkheñ DabDabā.ī haiñ
asar-andāz apnī be-zabānī le ke aayā huuñ
ḳhudā-ma.alūm qāsid kyā sunā.e dil dhaḌaktā hai
ye kahtā hai ki paiġhām-e-zabānī le ke aayā huuñ
mizha par garm garm aañsū laboñ par sard sard aaheñ
fasāna dard kā ġham kī kahānī le ke aayā huuñ
sarishk-e-ḳhūñ dil-e-pur-dāġh afsurda tamannā.eñ
azal se ye matā.a-e-zindagānī le ke aayā huuñ
maqām-e-ḳhizr thā yā mai-kada thā kyā kahūñ kyā thā
jahāñ se maiñ hayāt-e-jāvedānī le ke aayā huuñ
'jalīl' abr-e-siyah kyā jhūmtā hai sabza-zāroñ par
ye kahtā hai ki āb-e-zindagānī le ke aayā huuñ
Top Urdushayar.com