Jaleel Manikpuri

saKHt nazuk mizaj-e-dilbar tha

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
saḳht nāzuk mizāj-e-dilbar thā
ḳhair guzrī ki dil bhī patthar thā
muḳhtasar hāl-e-zindagī ye hai
laakh saudā thā aur ik sar thā
un kī ruḳhsat kā din to yaad nahīñ
ye samajhiye ki roz-e-mahshar thā
ḳhaak nibhtī mirī tire dil meñ
ek shīsha thā ek patthar thā
tum mire ghar jo aane vaale the
khole āġhosh sub.h tak dar thā
abr-e-rahmat jo ho gayā mash.hūr
kisī mai-kash kā dāman-e-tar thā
jab unheñ shauq thā sañvarne kā
ek ik aa.ina sikandar thā
āñsuoñ kī thī kyā bisāt magar
dekhte dekhte samundar thā
kaisī āzād zindagī hai 'jalīl'
dar-e-dil par jab apnā bistar thā
Top Urdushayar.com