Khaleel Rampuri

kab talak shadabi-e-fikr-o-nazar kaam aaegi

Khaleel Rampuri

kab talak shādābī-e-fikr-o-nazar kaam aa.egī
giile kapḌe se havā paanī uḌā le jā.egī
bhāgte ghoḌe kī rāseñ khīñchne se fā.eda
Dūbte sūraj kī kyā raftār kam ho jā.egī
zehan par phailā rakhe haiñ jhīñguroñ ne dā.ere
aaj jo bhī baat sochūñgā mujhe uljhā.egī
tak rahe haiñ kis kī jānib najam ḳheme gaaḌ kar
dhuup niklegī to pahle mere ghar meñ aa.egī
khil uThā huuñ aaj maiñ bhī us kī sūrat dekh kar
ye ghaḌī jab aa.egī mujh ko yūñhī mahkā.egī
fasl sūraj meñ ugī hai tamtamātī hai zamīñ
ye kahānī pyaar karne se samajh meñ aa.egī
jism kī putlī ko raushan kar ke duniyā se guzar
aañkh ḳhvāhish kī nazar rakhtī hai dhokā khā.egī
zard patte kī tarah be-ghar paḌā huuñ raah meñ
zard patte ko koī shāḳh-e-havā apnā.egī
miTTiyoñ kī tah meñ motī pāniyoñ par dā.ere
sochtā huuñ kaun sī daulat mire haath aa.egī
saath letī jā hameñ bhī Dūbte sūraj kī dhuup
raat ke ġhāroñ meñ terī yaad ham ko aa.egī
vo bhī ḳhushbū kī tarah ḳhud se alag rahne lagā
jaane ye mauj-e-ḳhayāl us ko kahāñ le jā.egī
khil rahī hai ḳhvāhishoñ kī dhuup saare jism meñ
aañkh kholūñgā to ye tasvīr bhī kho jā.egī
bastiyoñ meñ jañgaloñ meñ vādiyoñ meñ koh meñ
merī ḳhushbū merī dhaḌkan merī aahaT jā.egī
kitnī tasvīreñ mire andar se ubhareñgī 'ḳhalīl'
jab tirī āvāz kānoñ se mire Takrā.egī
Top Urdushayar.com