dīdār kī havas hai na shauq-e-visāl hai
āzād har ḳhayāl se mast-e-ḳhayāl hai
kah do ye kohkan se ki marnā nahīñ kamāl
mar mar ke hijr-e-yār meñ jiinā kamāl hai
fatvā diyā hai muftī-e-abr-e-bahār ne
tauba kā ḳhuun bāda-kashoñ ko halāl hai
āñkheñ batā rahī haiñ ki jaage ho raat ko
in sāġharoñ meñ bū-e-sharāb-e-visāl hai
barsāo tiir mujh pe magar itnā jaan lo
pahlū meñ dil hai dil meñ tumhārā ḳhayāl hai
āñkheñ laḌā ke un se ham aafat meñ paḌ ga.e
palkoñ kī har zabān pe dil kā savāl hai
but kah diyā jo maiñ ne to ab bolte nahīñ
itnī sī baat kā tumheñ itnā ḳhayāl hai
maiñ dāman-e-niyāz meñ ashk-e-chakīda huuñ
koī uThā ke dekh le uThnā muhāl hai
pūchhā jo un se jānte ho tum 'jalīl' ko
bole ki haañ vo shā.er-e-nāzuk-ḳhayāl hai