Jaleel Manikpuri

ab kaun phir ke jae teri jalwa-gah se

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
ab kaun phir ke jaa.e tirī jalva-gāh se
o shoḳh chashm phūñk de barq-e-nigāh se
kis shaan se chalā hai mirā shahsavār-e-husn
fitne pukārte haiñ zarā haT ke raah se
jhapkī palak tū barq falak se zamīñ pe thī
sambhlā na koī gir ke tumhārī nigāh se
dilchasp ho ga.ī tire chalne se rahguzar
uTh uTh ke gard-e-rāh lipaTtī hai raah se
mīzāñ khaḌī huī mire aage na roz-e-hashr
dabnā paḌā use mire bār-e-gunāh se
dekho phir aise dekhne vaale na pāoge
kyuuñ ḳhaak meñ milāte ho nīchī nigāh se
ā.īne aarsī to faqat dekhne ke haiñ
dekho tum apne husn ko merī nigāh se
kasrat se mai jo pī hai nazar hai ma.aal par
ra.asha nahīñ hai kaañp rahā huuñ gunāh se
paayā buland kyuuñ na hamārā ho ai 'jalīl'
paayā hai faiz amīr-e-suḳhan dastgāh se
Top Urdushayar.com