na ḳhushī achchhī hai ai dil na malāl achchhā hai
yaar jis haal meñ rakkhe vahī haal achchhā hai
dil-e-betāb ko pahlū meñ machalte kyā der
sun le itnā kisī kāfir kā jamāl achchhā hai
baat ulTī vo samajhte haiñ jo kuchh kahtā huuñ
ab ke pūchhā to ye kah dūñgā ki haal achchhā hai
sohbat ā.īne se bachpan meñ ḳhudā ḳhair kare
vo abhī se kahīñ samjheñ na jamāl achchhā hai
mushtarī dil kā ye kah kah ke banāyā un ko
chiiz anokhī hai na.ī jins hai maal achchhā hai
chashm o dil jis ke hoñ mushtāq vo sūrat achchhī
jis kī tārīf ho ghar ghar vo jamāl achchhā hai
yaar tak roz pahuñchtī hai burā.ī merī
rashk hotā hai ki mujh se mirā haal achchhā hai
apnī āñkheñ nazar aatī haiñ jo achchhī un ko
jānte haiñ mire bīmār kā haal achchhā hai
bātoñ bātoñ meñ lagā laa.e hasīnoñ ko 'jalīl'
tum ko bhī sehr-bayānī meñ kamāl achchhā hai