Jaleel Manikpuri

wasl mein wo chheDne ka hausla jata raha

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
vasl meñ vo chheḌne kā hausla jaatā rahā
tum gale se kyā mile saarā gila jaatā rahā
yaar tak pahuñchā diyā betābi-e-dil ne hameñ
ik taḌap meñ manziloñ kā fāsla jaatā rahā
ek to āñkheñ dikhā.īñ phir ye shoḳhī se kahā
kahiye ab to kam-nigāhī kā gila jaatā rahā
roz jaate the ḳhat apne roz aate the payām
ek muddat ho ga.ī vo silsila jaatā rahā
ro rahe the dil ko ham yaañ hosh bhī jaate rahe
gum-shuda yūsuf ke pīchhe qāfila jaatā rahā
muḌ ke qātil ne na dekhā vaar puurā ho gayā
kushtgān-e-nīm-bismil kā gila jaatā rahā
vādi-e-ġhurbat ke sāthī haiñ hameñ dil se aziiz
ro diye ham phuuT kar jab aabla jaatā rahā
be-ḳhudī meñ mahv-e-nazzāra the ham kyuuñ chauñk uThe
haa.e vo apnā maze kā mashġhala jaatā rahā
kyā mohazzab ban ke pesh-e-yār baiThe haiñ 'jalīl'
aaj vo josh-e-junūñ vo valvala jaatā rahā
Top Urdushayar.com