ye kah gayā but-e-nā-āshnā sunā ke mujhe
ki aap meñ nahīñ rahtā hai koī pā ke mujhe
naqāb kahtī hai maiñ parda-e-qayāmat huuñ
agar yaqīn na ho dekh lo uThā ke mujhe
milūñgā ḳhaak meñ aañsū kī tarah yaad rahe
milo na aañkh kahīñ aañkh se girā ke mujhe
adā se khīñch rahā hai kamāñ vo tīr-andāz
qazā pukār rahī hai zarā bachā ke mujhe
tumhāre vāste is dil kā mol hī kyā hai
adā se dekh lo ik din nazar uThā ke mujhe
tire hisāb meñ terī qabā kā dāman huuñ
ki jab mizāj meñ aayā chalā luTā ke mujhe
maiñ Dar rahā huuñ tumhārī nashīlī āñkhoñ se
ki luuT leñ na kisī roz kuchh pilā ke mujhe
buland naam na hogā sitam-shi.ārī se
tum āsmān na ho jāoge satā ke mujhe
butoñ ko tākte guzrī hai sharm aa.egī
'jalīl' le na chalo sāmne ḳhudā ke mujhe