Jaleel Manikpuri

rahat na mil saki mujhe mai-KHana chhoD kar

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
rāhat na mil sakī mujhe mai-ḳhāna chhoḌ kar
gardish meñ huuñ maiñ gardish-e-paimāna chhoḌ kar
ḳhum meñ subū meñ jaam meñ niyyat lagī rahī
mai-ḳhāne hī meñ ham rahe mai-ḳhāna chhoḌ kar
āñkhoñ ko chhoḌ jā.ūñ ilāhī maiñ kyā karūñ
haTtī nahīñ nazar ruḳh-e-jānāna chhoḌ kar
aatā hai jī meñ sāqi-e-mah-vash pe baar baar
lab chuum luuñ tirā lab-e-paimāna chhoḌ kar
hotī kahāñ hai dil se judā dil kī aarzū
jaatā kahāñ hai sham.a ko parvāna chhoḌ kar
do ghūñT ne baḌhā diye rindoñ ke hausle
miinā o ḳhum pe jhuk paḌe paimāna chhoḌ kar
phir bū-e-zulf-e-yār ne aa kar sitam kiyā
phir chal diyā mujhe dil-e-dīvāna chhoḌ kar
yaad aa.ī kis kī aañkh ki riñd uTh khaḌe hue
paimāna toḌ kar mai o mai-ḳhāna chhoḌ kar
duniyā meñ āfiyat kī jagah hai yahī 'jalīl'
jaanā kahīñ na gosha-e-mai-ḳhāna chhoḌ kar
Top Urdushayar.com