zabt-e-nāla se aaj kaam liyā
girtī bijlī ko maiñ ne thaam liyā
pā-e-sāqī pe tauba loT ga.ī
haath meñ is adā se jaam liyā
phuul kā jaam jab girā koī
ham ne palkoñ se baḌh ke thaam liyā
āfrīñ tujh ko hasrat-e-dīdār
chashm-e-tar se zabāñ kā kaam liyā
dil jigar nazr kar diye mai ke
de ke do shīshe ek jaam liyā
ulTī ik haath se naqāb un kī
ek se apne dil ko thaam liyā
tark-e-mai kī huī talāfī yuuñ
naam saaqī kā sub.h o shaam liyā
aa ga.ī kyā kisī kī yaad 'jalīl'
chalte chalte jigar ko thaam liyā