Jaleel Manikpuri

husn mein aafat-e-jahan tu hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
husn meñ āfat-e-jahāñ tū hai
chaal meñ ḳhanjar-e-ravāñ tū hai
donoñ zālim haiñ farq itnā hai
āsmāñ piir hai javāñ tū hai
be-kahe dil kā haal raushan hai
ai ḳhamoshī mirī zabāñ tū hai
apne ghar meñ ḳhayāl meñ dil meñ
ek ho kar kahāñ kahāñ tū hai
donoñ jānib se parda-dārī hai
maiñ huuñ gumnām be-nishāñ tū hai
sab se pyārī hai jaan duniyā meñ
jaan se baḌh ke jān-e-jāñ tū hai
ā.īne par nahīñ ye chashm-e-karam
apnī sūrat kā qadar-dāñ tū hai
kyā barābar kā joḌ hai ye 'jalīl'
yaar nāzuk hai nā-tavāñ tū hai
Top Urdushayar.com