Jaleel Manikpuri

meri wahshat ka jo afsana banaya hota

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
merī vahshat kā jo afsāna banāyā hotā
sunñe vāloñ ko bhī dīvāna banāyā hotā
un ke laane kī na sūjhī tujhe qāsid tadbīr
jhuuT sach koī to afsāna banāyā hotā
dekhte tum ki sañvar jaate na gesū kaise
merī palkoñ kā agar shāna banāyā hotā
mar ke bhī ruuh na piine ko tarastī saaqī
merī miTTī se jo paimāna banāyā hotā
tum ne zulfoñ ko banā kar hameñ dīvāna kiyā
kyā bigaḌtā thā tumhārā na banāyā hotā
dil jo vaa.iz kā banāyā thā ilāhī patthar
kaash sañg-e-dar-e-mai-ḳhāna banāyā hotā
dil-e-vahshī jo chhuTā mujh se bahut ḳhuub huā
varna ab tak mujhe dīvāna banāyā hotā
vus.at-e-dil jo koī pīr-e-muġhāñ dikhlāyā
ek ik jaam ko mai-ḳhāna banāyā hotā
muñh se āñchal jo haTātā vo sar-e-bazm 'jalīl'
ba-ḳhudā sham.a ko parvāna banāyā hotā
Top Urdushayar.com