Jaleel Manikpuri

maze betabiyon ke aa rahe hain

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
maze betābiyoñ ke aa rahe haiñ
vo ham ko ham unheñ samjhā rahe haiñ
abhī kal tak the kaise bhole-bhāle
zarā ubhre haiñ aafat Dhā rahe haiñ
kahā us ne savāl-e-vasl sun kar
ki mujh se aap kuchh farmā rahe haiñ
vo bijlī haiñ to hoñ un ko mubārak
mujhe kis vāste taḌpā rahe haiñ
mujhe to intizār-e-chāragar hai
ilāhī ġhash pe ġhash kyuuñ aa rahe haiñ
rahe dāman bharā un kā hamesha
lahad par phuul jo barsā rahe haiñ
sunā kar qissa-e-parvāna-o-sham.a
hamāre dil ko vo garmā rahe haiñ
do roza husn par phūle haiñ kyā gul
baḌe kam-zarf haiñ itrā rahe haiñ
kabhī ham ne piyā thā bāda-e-ishq
'jalīl' us ke maze ab aa rahe haiñ
Top Urdushayar.com