Jaleel Manikpuri

kya hina KHun-rez nikli hae pis jaane ke baad

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
kyā hinā ḳhūñ-rez niklī haa.e pis jaane ke ba.ad
ban ga.ī talvār un ke haath meñ aane ke ba.ad
jām-e-jam kī dhuum hai saare jahāñ meñ sāqiyā
māntā huuñ maiñ bhī lekin tere paimāne ke ba.ad
shukriya vaa.iz jo mujh ko tark-e-mai kī dī salāh
ġhaur maiñ is par karūñgā hosh meñ aane ke ba.ad
sham.a māshūqoñ ko sikhlātī hai tarz-e-āshiqī
jal ke parvāne se pahle bujh ke parvāne ke ba.ad
āshnā ho kar butoñ ke ho ga.e haq-āshnā
ham ne ka.abe kī binā Daalī hai but-ḳhāne ke ba.ad
maiñ karūñ kis kā nazāra dekh kar terā jamāl
maiñ sunūñ kis kā fasāna tere afsāne ke ba.ad
sham-e-mahfil kā huā ye rañg un ke sāmne
phuul kī hotī hai sūrat jaise murjhāne ke ba.ad
sach ye kahte haiñ ki hañsne kī jagah duniyā nahīñ
chashm-e-ibrat haiñ chaman ke phuul murjhāne ke ba.ad
fikr o kāvish ho to nikleñ ma.anī-e-rañgīñ 'jalīl'
la.al ugaltī hai zabāñ ḳhūn-e-jigar khāne ke ba.ad
Top Urdushayar.com