Jaleel Manikpuri

aashiqi kya har bashar ka kaam hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
āshiqī kyā har bashar kā kaam hai
mere dil mere jigar kā kaam hai
ho harī shāḳh-e-tamannā yā na ho
sīñch denā chashm-e-tar kā kaam hai
baḌh chale paik-e-tasavvur kā qadam
ab yahāñ kyā nāma-bar kā kaam hai
dil mirā le jaane vaalā kaun thā
ye kisī jādū-nazar kā kaam hai
ham se kyā ho vasf qātil kā bayāñ
ye lab-e-zaḳhm-e-jigar kā kaam hai
maut jab aa.e to raahī jaan ho
is safar meñ rāhbar kā kaam hai
faisla hone meñ dushvārī hai kyā
tere ḳhanjar mere sar kā kaam hai
aaj aañsū tum ne poñchhe bhī to kyā
ye to apnā umr bhar kā kaam hai
gul dikhāte haiñ hameñ kyā zaḳhm-e-tan
dil pe khānā koī charkā kaam hai
dil se laa.e lab pe ham āh-o-fuġhāñ
ab tujhe laanā asar kā kaam hai
dar-ba-dar phirte hī guzrī charḳh ko
ye usī bedād-gar kā kaam hai
āñkhoñ āñkhoñ meñ uḌā lete haiñ dil
dilrubā.ī bhī nazar kā kaam hai
teġh kyuuñ chalne meñ bal khāne lagī
ye tirī nāzuk kamar kā kaam hai
siine se kuchh haT ke hai dil kī jagah
is jagah tirchhī nazar kā kaam hai
be-chale hī paañv dete haiñ javāb
manzil-e-ulfat meñ sar kā kaam hai
qudsiyoñ se kaun baazī le gayā
ye bashar hai ye bashar kā kaam hai
motiyoñ se muñh tirā bharnā 'jalīl'
āsif-e-ālī-guhar kā kaam hai
Top Urdushayar.com