Jaleel Manikpuri

mujhko to maraz hai be-KHudi ka

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
mujh ko to maraz hai be-ḳhudī kā
zāhid ko gumān hai mai-kashī kā
har rañg hai tere aage phīkā
mahtāb hai phuul chāñdnī kā
chal jā.egā kaam kuchh kisī kā
muñh muḌ na gayā agar chhurī kā
har vaqt haiñ maut kī duā.eñ
allāh re lutf zindagī kā
ā.īna banā rahe ho dil ko
dil TuuT na jaa.e aarsī kā
ham kahte the juuḌe meñ nahīñ phuul
āḳhir niklā vo dil kisī kā
kahiye abhī ik adā pe kaT jaa.eñ
dam dekhte the faqat chhurī kā
miTtī nahīñ dushmanī kisī kī
rañg us meñ hai merī dostī kā
bose ko jagah milī laboñ par
ab rañg jamegā kyā misī kā
pyāre pyāre the phuul se hoñTh
dhabbā ye burā lagā misī kā
iThlā iThlā ke un ko chalnā
miT jaa.e balā se dil kisī kā
paate haiñ jo mujh ko jī se bezār
kahte haiñ maza hai āshiqī kā
hoñ ek se sab hasīn kyūñkar
hai rañg judā kalī kalī kā
pahle to the mahv-e-dīd muusā
ab lete maza haiñ be-ḳhudī kā
samjhe the na ham ko tum pe marnā
ho jā.egā rog zindagī kā
shoḳhī mazmūn kī le uḌī hai
aalam hai sher meñ parī kā
khīñcheñ jo vo tiir dil bhī de saath
haq kuchh to adā ho dostī kā
naale bulbul ke the ki chhuriyāñ
dil TukḌe huā kalī kalī kā
uThne na diyā kisī ke dar se
ehsān hai mujh pe lāġharī kā
phūloñ se kaho ki rotī hai os
ab is se maza nahīñ hañsī kā
kahte the na ham 'jalīl' tum se
anjām burā hai dil-lagī kā
Top Urdushayar.com