baat saaqī kī na Taalī jā.egī
kar ke tauba toḌ Daalī jā.egī
vo sañvarte haiñ mujhe is kī hai fikr
aarzū kis kī nikālī jā.egī
dil liyā pahlī nazar meñ aap ne
ab adā koī na ḳhālī jā.egī
aate aate aa.egā un ko ḳhayāl
jaate jaate be-ḳhayālī jā.egī
kyā kahūñ dil toḌte haiñ kis liye
aarzū shāyad nikālī jā.egī
garmi-e-nazzāra-bāzī kā hai shauq
baaġh se nargis nikālī jā.egī
dekhte haiñ ġhaur se merī shabīh
shāyad us meñ jaan Daalī jā.egī
ai tamannā tujh ko ro luuñ shām-e-vasl
aaj tū dil se nikālī jā.egī
fasl-e-gul aa.ī junūñ uchhlā 'jalīl'
ab tabī.at kuchh sambhālī jā.egī