din kī aaheñ na ga.iiñ raat ke naale na ga.e
mere dil-soz mire chāhne vaale na ga.e
apne māthe kī shikan tum se miTā.ī na ga.ī
apnī taqdīr ke bal ham se nikāle na ga.e
tazkira soz-e-mohabbat kā kiyā thā ik baar
tā-dam-e-marg zabāñ se mirī chhāle na ga.e
sham.a-rū ho ke faqat tum ne jalānā sīkhā
mere ġham meñ kabhī do ashk nikāle na ga.e
aaj tak saath haiñ sarkār-e-junūñ ke tohfe
sar kā chakkar na gayā paañv ke chhāle na ga.e
vo bhalā pech nikāleñge mirī qismat ke
apne bāloñ ke to bal un se nikāle na ga.e
koī shab aisī na guzrī ki banā kar gesū
saikḌoñ bal mirī taqdīr meñ Daale na ga.e
ham-safar aise vafādār kahāñ milte haiñ
tere vahshī ke qadam chhoḌ ke chhāle na ga.e
apnā dīvān muraqqa.a hai hasīnoñ kā 'jalīl'
nukta-chīñ thak ga.e kuchh aib nikāle na ga.e