naaz kartā hai jo tū husn meñ yaktā ho kar
maiñ bhī nāzāñ huuñ tirā āshiq-e-shaidā ho kar
maiñ na samjhā thā ki ashkoñ se uThegā tūfāñ
chand qatroñ ne Duboyā mujhe dariyā ho kar
chashm-e-bīmār jo pahle thī vahī ab bhī hai
kuchh banā.e na banī tum se masīhā ho kar
kis ke ruḳhsār dam-e-sair-e-chaman yaad aa.e
phuul āñkhoñ meñ khaTakne lage kāñTā ho kar
dard thā dil meñ to jiine kā maza miltā thā
ab to bīmār se bad-tar huuñ maiñ achchhā ho kar
daam se chhūT ke bhī merī asīrī na ga.ī
zulf-e-sayyād gale paḌ ga.ī phandā ho kar
chhup ke rahnā hai jo sab se to ye mushkil kyā hai
tum mire dil meñ raho dil kī tamannā ho kar
kyā sitam hai shab-e-vāda vo hinā malte haiñ
rañg laa.e na kahīñ ḳhūn-e-tamannā ho kar
dahan-e-yār kī tārīf jo kī maiñ ne 'jalīl'
uḌ gayā tā.ir-e-mazmūñ mirā anqā ho kar