kho ke dil merā tumheñ nā-haq pashemānī huī
tum se nādānī huī yā mujh se nādānī huī
allāh allāh phuuT niklā rañg chāhat kā mirī
zahr khāyā maiñ ne poshāk aap kī dhānī huī
ham ko ho saktā nahīñ dhokā hujūm-e-hashr meñ
terī sūrat hai azal se jānī-pahchānī huī
ai sabā maiñ aur kyā duuñ qabr-e-majnūñ ke liye
ḳhaak thoḌī sī chaḌhā denā mirī chhānī huī
yaar ke hāthoñ huā jo kuchh huā ai teġh-e-nāz
terī uryānī huī yā merī qurbānī huī
kar ga.ī dīvāngī ham ko barī har jurm se
chāk-dāmānī se apnī chāk-dāmānī huī
baaḌh dī bāñkī adāoñ ne jo ḳhanjar ko 'jalīl'
zab.h karne meñ mire qātil ko āsānī huī