Jaleel Manikpuri

jhum kar aaj jo matwali ghaTa aai hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
jhuum kar aaj jo matvālī ghaTā aa.ī hai
yaad kyā kyā tirī mastāna adā aa.ī hai
aise nāzuk kabhī pāband-e-hinā hote haiñ
haath dho Daale haiñ rañgat jo zarā aa.ī hai
tum bhī ruḳhsār pe zulfoñ ko zarā bikhrā do
kaalī kaalī sar-e-gulzār ghaTā aa.ī hai
husn-e-aḳhlāq bhī hai husn-e-javānī kī tarah
jhuk ga.ī haiñ tirī āñkheñ jo hayā aa.ī hai
haa.e vo khol ke juuḌā ye kisī kā kahnā
aa.iye so raheñ ab raat sivā aa.ī hai
sach hai tum ne jo lagāyā nahīñ muñh ġhunchoñ ko
unheñ phir kis ke tabassum kī adā aa.ī hai
kis kā dil ḳhuun nahīñ hai chaman-e-ālam meñ
pattī pattī se hameñ bū-e-vafā aa.ī hai
raat bhar girya-e-shabnam se jo ġhunche the udaas
sub.h hote hī hañsāne ko sabā aa.ī hai
sher-ḳhvānī pe tirī sab ko gumāñ hai ki 'jalīl'
bazm meñ rūh-e-amīr-usshuarā aa.ī hai
Top Urdushayar.com