ġhair ulfat kā raaz kyā jaane
lutf-e-nāz-o-niyāz kyā jaane
nīm-jānoñ pe kyā guzartī hai
nargis-e-nīm-bāz kyā jaane
mere tūl-e-shab-e-judā.ī ko
terī zulf-e-darāz kyā jaane
pāk-bāzān-e-mai-kada kā maqām
jo na ho pāk-bāz kyā jaane
dil hai us parde meñ koī varna
sham.a soz o gudāz kyā jaane
ham jo mastī meñ girte paḌte haiñ
zāhid aisī namāz kyā jaane
rāh-e-ulfat na jis ne tai kī ho
vo nasheb-o-farāz kyā jaane
jis ke dil meñ na soz ho vo 'jalīl'
kaif-e-āvāz-e-sāz kyā jaane