ye jo sar nīche kiye baiThe haiñ
jaan kitnoñ kī liye baiThe haiñ
jaan ham sabza-e-ḳhat par de kar
zahr ke ghoñT piye baiThe haiñ
dil ko ham DhūñDte haiñ chaar taraf
aur yahāñ aap liye baiThe haiñ
vā.izo chheḌo na rindoñ ko bahut
ye samajh lo ki piye baiThe haiñ
goshe āñchal ke tire siine par
haa.e kyā chiiz liye baiThe haiñ
dast-e-vahshat ko ḳhabar kar de koī
ham garebān siye baiThe haiñ
haa.e pūchho na tasavvur ke maze
god meñ tum ko liye baiThe haiñ
aap ke naaz uThāne vaale
jaan ko sabr kiye baiThe haiñ
bal jabīñ par hai ḳhudā ḳhair kare
aaj vo teġh liye baiThe haiñ
is tavaqqo pe ki leñ vo talvār
sar hathelī pe liye baiThe haiñ
jaan de deñge tumhāre dar par
ham ab uThne ke liye baiThe haiñ
zikr kyā jām-o-subū kā ki 'jalīl'
ek mai-ḳhāna piye baiThe haiñ