ajiib husn hai un surḳh surḳh gāloñ meñ
mai-e-do-ātisha bhar dī hai do piyāloñ meñ
suneñ jo aap to sonā harām ho jaa.e
tamām raat guzartī hai jin ḳhayāloñ meñ
ummīd o yaas ne jhagḌe meñ Daal rakkhā hai
na jiine vāloñ meñ ham haiñ na marne vāloñ meñ
chaman meñ gul bhī hinā bhī magar nasīb kī baat
koī to sar chaḌhe koī ho pā.emāloñ meñ
nasīm-e-sham.a-e-lahad ko zarā bachā.e hue
yahī hai ek ġharīboñ ke rone vāloñ meñ
yahāñ ḳhizāñ kā na khaTkā na ḳhauf gulchīñ kā
bahār gul meñ rahe yā tumhāre gāloñ meñ
nahīñ hai lutf ki ḳhalvat meñ ġhair shāmil ho
uThā do sham.a ko ye bhī hai jalne vāloñ meñ
chubhegā kyā dil-e-pur-ḳhūñ kā raaz āñkhoñ se
jo hogā shīshe meñ aa.egā vo piyāloñ meñ
hazār shukr ki ham naqs meñ hue kāmil
'jalīl' rah ga.ī baat apnī zī-kamāloñ meñ