raushnī le kar añdherī raat meñ niklā na kar
raat parde ke liye hai ḳhud ko be-pardā na kar
dahr kā phailāv bhī nuqta nazar aane lage
sher kahtā hai to kah itnā magar sochā na kar
ek din tū bhī kisī taare se Takrā jā.egā
dost mere raat kī galiyoñ meñ yuuñ ghūmā na kar
chāñd bhī utrā thā pichhlī shab isī tālāb meñ
kyuuñ chamaktā hai nahā dho kar badan poñchhā na kar
aa.ina chamkā.e rakh sab kuchh nazar aa jā.egā
jis kī chāhat ho use ḳhud se judā samjhā na kar
dopahar kī lahr chehre ko jhulas degī 'ḳhalīl'
ghar kī ThanDak chhoḌ kar peḌoñ tale baiThā na kar