Jaleel Manikpuri

baiTh ja kar sar-e-mimbar waiz

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
baiTh jā kar sar-e-mimbar vaa.iz
ho gayā tū to mire sar vaa.iz
mai to jaa.ez nahīñ ye jaa.ez hai
roz khātā hai mirā sar vaa.iz
band kartā hai dar-e-tauba kyuuñ
khol kar va.az kā daftar vaa.iz
vā.izoñ kī maiñ karūñ kyā tārīf
ghar meñ mai-ḳhvār haiñ bāhar vaa.iz
mai-kashoñ hī ke liye hai ye baat
jo hai dil meñ vahī lab par vaa.iz
dekh kis rañg se uTThī hai ghaTā
tah kar ab va.az kā daftar vaa.iz
kis tarah piite haiñ piine vaale
dekh lenā lab-e-kausar vaa.iz
maut bhī aatī hai to hiile se
aa gayā rindoñ meñ kyūñkar vaa.iz
saḳhtiyāñ rindoñ pe karte karte
aql par paḌ ga.e patthar vaa.iz
ātish-e-tar kā jo paḌ jaa.e maza
phūñk de va.az kā daftar vaa.iz
riñd aape se jo bāhar haiñ to hoñ
tū na ho jaame se bāhar vaa.iz
shīsha-e-dil kā ḳhudā hāfiz hai
terī har baat hai patthar vaa.iz
zikr-e-mai va.az meñ jab aatā hai
jhūmtā hai sar-e-mimbar vaa.iz
le ke āñkhoñ se lagātā sāġhar
paḌh jo letā ḳhat-e-sāġhar vaa.iz
mahfil-e-va.az meñ kyuuñ jā.ūñ 'jalīl'
haiñ mujhe shīsha-o-sāġhar vaa.iz
Top Urdushayar.com