Jaleel Manikpuri

uTTha hai abr josh ka aalam liye hue

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
uTThā hai abr josh kā aalam liye hue
baiThā huuñ maiñ bhī dīda-e-pur-nam liye hue
saaqī kī chashm-e-mast kā aalam na pūchhiye
ik ik nigāh hai ka.ī aalam liye hue
shabnam nahīñ guloñ pe ye qatre haiñ ashk ke
guzrā hai koī dīda-e-pur-nam liye hue
tai kar rahā huuñ ishq kī dushvār manzileñ
āh-e-darāz o girya-e-paiham liye hue
uTh ai naqāb-e-yār ki baiThe haiñ der se
kitne ġharīb dīda-e-pur-nam liye hue
suntā huuñ un kī bazm meñ chhalkeñge aaj jaam
maiñ bhī chalā huuñ dīda-e-pur-nam liye hue
motī kī qadr sab ko hai phūloñ ko dekhiye
kyā hañs rahe haiñ qatra-e-shabnam liye hue
josh-e-junūñ meñ lutf-e-tasavvur na pūchhiye
phirte haiñ saath saath unheñ ham liye hue
dil kī lagī na un se bujhī aaj tak 'jalīl'
dariyā haiñ garche dīda-e-pur-nam liye hue
Top Urdushayar.com