Jaleel Manikpuri

ishq ab meri jaan hai goya

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
ishq ab merī jaan hai goyā
jaan ab mehmān hai goyā
soz-e-dil kah rahī hai mahfil meñ
sham.a merī zabān hai goyā
jis ko dekho vahī hai garm-e-talāsh
kahīñ us kā nishān hai goyā
hai qayāmat uThān zālim kī
vo abhī se javān hai goyā
chhīne letī hai dil tirī tasvīr
vo adā hai ki jaan hai goyā
ek dal us meñ laakh zaḳhm-e-firāq
TūTā-phūTā makān hai goyā
māñge jā.eñge tujh ko ham tujh se
muñh meñ jab tak zabān hai goyā
jī bahalne ko log sunte haiñ
dard-e-dil dāstān hai goyā
aadmī vaqf-e-kār-e-duniyā hai
mehmāñ mezbān hai goyā
terī kis baat kā bharosa ho
terī har baat jaan hai goyā
dil meñ kaise vo be-takalluf haiñ
un kā apnā makān hai goyā
haa.e us ālam-āshnā kī nazar
har nazar meñ jahān hai goyā
achchhe-achchhoñ ko phāñs rakkhā hai
zāl-e-duniyā javān hai goyā
chup rahūñ maiñ to sab khaTakte haiñ
be-zabānī zabān hai goyā
bevafā.ī pe marte haiñ ma.ashūq
dilrubā.ī kī shaan hai goyā
koī us par nigāh kyā Daale
tamkanat pāsbān hai goyā
terī sūrat to kahtī hai qātil
ḳhud tirā imtihān hai goyā
ḳhūb-rūyān-e-māh-paikar se
ye zamīñ āsmān hai goyā
aaj hai diid kī ijāzat-e-ām
maut kā imtihān hai goyā
vaar par vaar karte jaate haiñ
kuchh abhī mujh meñ jaan hai goyā
is suḳhan kā 'jalīl' kyā kahnā
'mus.hafī' kī zabān hai goyā
Top Urdushayar.com