hamārā dil vo gul hai jis ko zulf-e-yār meñ dekhā
jo zulfeñ ho ga.iiñ barham gale ke haar meñ dekhā
bhalā gul kyā tirā ham-sar ho jis kī ye haqīqat hai
abhī gulshan meñ dekhā thā abhī bāzār meñ dekhā
basīrat jab huī paidā hameñ mashq-e-tasavvur se
jo kuchh ḳhalvat meñ dekhā thā abhī bāzār meñ dekhā
chaman meñ ik but-e-nāzuk-adā mahv-e-tamāshā hai
nayā gul aaj ham ne dāman-e-gulzār meñ dekhā
'jalīl' ik naaz kī qīmat dil o jaañ diin o īmāñ hai
ajab andāz ham ne husn ke bāzār meñ dekhā