Khaleel Rampuri

hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera

Khaleel Rampuri

harā-bharā thā kabhī jhaaḌ sā badan merā
ki ā.inoñ meñ jhalaktā thā bāñkpan merā
charāġh le ke mujhe DhūñDne nikaltā thā
mire baġhair na rahtā thā ham-suḳhan merā
siyāhiyoñ ke bhañvar se nikal ke aayā huuñ
dhulā rahī hai ujāloñ se muñh kiran merā
siyāh phuul khilā dhuup kī muñDeroñ par
havā meñ Taañg diyā kis ne pairahan merā
maiñ reg-zār pe likkhī huī ibārat huuñ
havā chalegī to uḌ jā.egā badan merā
balā rahī hai mujhe barf se Dhakī choTī
paḌā huā hai chaTānoñ ke ghar kafan merā
shumār hone lage motiyoñ meñ kañkar bhī
'ḳhalīl' kaam to aayā kisī ke fan merā
Top Urdushayar.com